affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mujhy azaad kar do na

Wednesday 20 February 2013

Mujhy azaad kar do na

Mujhy azaad kar do na
k mein hun qaid barson se
judaie ki aziat mein
zehar bhar de ga ye zalim
meri nazuk tabiat mein
na do ab hosla mujh ko
bata do rasta mujh ko
koi bahir niklany ka
hawa mein phir se urny ka
mujhy us dais jana hai
jahan panchhi utarty hein
jahan mausam badalty hein
meir banjar si aankhon mien
meri betaab sansoon mein
koi to rang bhar do na
mujhy azaad kar do na

No comments:

Post a Comment