affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Monday 13 May 2013

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Bar Mulakat Ka Mooka Day Day

Meri Manzal Hai Kahan
Mera Tekhana Hai Kahan
Subah Tak Tujh Se Bichar Kar Mujhay Jana Hai Kahan
Sochanay Kay Liye Ek Raat Ka Mooka Day Day

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Apni Aankhoon Mein Chupa Rakhay Hain Jignoo Mein Ne
Apni Palkoon Pe Saja Rakhay Aansoo Mein Ne
Meri Aankhoon Ko Bhi Barsat Ka Mooka Day Day

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-mohabbat Sun Lay
Kapkapatay Hoye Hontoon Ki Shikayat Sun Lay
Aaj Izhar-e-khiyalat Ka Mooka Day Day

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah

Bholna Tha Tou Yeh Iqrar Kiya He Kuan Tha
Bewafa Tou Ne Mujhay Pyar Kiya He Kuan Tha
Sirf Dou Char Sawalat Ka Mooka Day Day

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Bar Mulakat Ka Mooka Day Day

No comments:

Post a Comment