affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kuch Aisa Shoq Hy Hum-Dum

Saturday 11 May 2013

Kuch Aisa Shoq Hy Hum-Dum

 Mujhe Gum-Naam Rehne Ka Kuch Aisa Shoq Hy Hum-Dum,
Kisi Be-Naam Sehra Mein,
Bhatakti Dhoop Ho Jaisey,
Jahan Saa'ye Taraste Hon,
Kisi Paikar Ki Aahat Ko,
Jahan Zinda Na Ho Koi,
Jahan Bus Mot Rehti Ho,
Ya Kuch Aisey Ke,
Dariya Ke Kahin Us Paar Keekar Pe,
Kisi Chirya Ke Bache Ki,
Tarapti Piyas Ho Jaise,
Ke Jis Ki Zindagi Ke Din Boht Bejaan Guzre Hon,
Jo Urrne Ko Tarasta Ho,
Mgr,
Hasrat Dam-E-Aakhir,
Wo Apne Ghonsle Men Hi,
Kuch Aise Jaan De Jaisey,
Hazaron Karwaton Ke Baad,
Meri Umeed Marti Hy,
Mujhe Gum-Naam Rehne Ka,
Kuch Aisa Shoq Hy Hum-Dum..!!

No comments:

Post a Comment