affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Rasta He Naya Hai, Na Main Anjan Bohot Hoon

Sunday, 5 May 2013

Rasta He Naya Hai, Na Main Anjan Bohot Hoon

Rasta He Naya Hai, Na Main Anjan Bohot Hoon,

Phir Ko'e MaLamat Mein Hoon, Na-Daan Bohot Hoon.

Ik Umar Jise Khawab Kii Manind He Daikha,

Chhoone Ko MiLa Hai Toh Pareshan Bohot Hoon.

Mujh Main Kabhii Aahat Kii Tarah Se Koii Aaye,

Ik Band GaLLii Kii Tarah Sunsan Bohot Hoon.

Daikha Hai Gurez Us Nigah-E-Sard Ka Itna,

MaayeL Ba-Tawajah Hai Toh Hairan Bohot Hoon.

ULjhen Ge Kaii Baar Abhii Lafz Se Mafhoom,

Saadah Hai Bohot Woh Na Main Aasan Bohot Hoon . . . */

No comments:

Post a Comment