affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat oss Ki surat by Amjad Islam Amjad

Monday 18 February 2013

Mohabbat oss Ki surat by Amjad Islam Amjad


MOHABBAT OSS KI SURAT

pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hay 
gulon ki aastinoon main anokhay rang bharti hay
sahar k jhatpatay main gungunati muskurati hay
mohabbat k dino main dashat bhi mehsoos hota hay 
kisi firdos ki surat.......................mohabbat oss ki surat

MOHABBAT ABAR KI SURAT
dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hay 
chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hay
azal ki bai namoon matti main sabza sar uthata hay 
jo dil hian qabar ki surat...................mohabbat abar ki surat

MOHABBAT AAG KI SURAT
bhujay sino'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharakti hy ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay 
mohabbat jhaag ki surat.....

MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaan say jagmagatay hain
k pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain 
tu kab ki muntizar aankhon main........shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat

MOHABBAT DARD KI SURAT
guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hay 
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay 
mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain 
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koe aahat koe saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koe bhi dhoka nahi rehta 
ghamon k bojh say jab toutnay lagtay han shaanay tu
yeh oun pay haath rakhti hay 
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak......yeh gard ki surat
mohabbat dard ki surat

No comments:

Post a Comment