affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat ki aik nazam by Amjad Islam Amjad

Monday 18 February 2013

Mohabbat ki aik nazam by Amjad Islam Amjad


MUHABBAT KI AIK NAZM


Agar kabhi mairi yaad aay
Tau chand raatoN ki narm dilgeer roshni maiN
kissi sitaray ko daikh laina __
Agar woh nakhl-e-falak say uR kar tumharay qadmoN maiN aa giray tau
Yeh jaan laina, woh iste'ara tha mairay dil ka,
Agar na aay........
Magar yeh mumkin hi kis tarah hai keh tum kissi per nigah daalo
Tau us ki deewaar-e-jaaN na tootay
Woh apni hasti na bhool jaay

Agar kabhi mairi yaad aay
Guraiz karti hawa ki lehroN peh haath rakhna
MaiN khushboowoN maiN tumhaiN milooN ga
Mujhay gulaaboN ki pattyoN maiN talash karna
Main aous qatroN kay aainoN maiN tumhaiN milooN ga ___
Agar sitaroN maiN, aous qatroN main, khushboowoN main na paao mujhko
Tau apnay qadmoN maiN daikh laina
MaiN gard hoti musaftoN main tumhaiN milooN ga ___
KaheeN peh roshan charagh dekho tau jaan laina
Keh har patangay kay saath maiN bhi bikhar chuka hooN
Tum anay haathoN say unn patangoN ki raakh darya maiN daal daina
MaiN khak ban kar samundaroN maiN safar karooN ga ___
Kissi na daikhay muway jazeeray peh ruk kay tum ko sadaieN dooN ga
SamundaroN kay safar peh niklo tau uss jazeeray peh bhi utarna ___


No comments:

Post a Comment