affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mujhay Azaad Kar Do Na

Sunday 5 May 2013

Mujhay Azaad Kar Do Na


کہ میں ہوں قيد برسوں سے
جدائی کی ازیت میں
زہر بھر دے گی یہ دنیا
میری نازک طبیّت میں

نہ دو اب حوصلہ مجہ کو
بتا دو راستہ مجہ کو
کوئی باہر نکلنے کا
ہوا میں پھر سے اڑنے کا

مجھے اس دیس جانا ہے
جہاں پنچھی اترتے ہیں
جہاں موسم بدلتے ہیں

میری بنجر سی آنکھوں میں
میری بیتاب سانسوں میں
کوئی تو رنگ بھر دو نہ

مجھے آزاد کر دو نہ
مجھے آزاد کر دو نہ

Keh Mein Hoon Qaid Barson Say
Judai Ki Aziyat Mein
Zehar Bhar Day Gi Yeh Duniya
Meri Nazuk Tabiyat Mein

Na Do Ab Hosla Mujh Ko
Bata Do Raasta Mujh Ko
Koi Bahir Nikalnay Ka
Hawa Mein Phir Say Urnay Ka

Mujhay “US DAIS” Jana Hai
Jahan Panchhi Utartay Hain
Jahan Mousam Badaltay Hain

Meri Banjar Si Aankhon Mein
Meri Betaab Saanson Mein
Koi To Rang Bhar Do Na

Mujhay Azaad Kar Do Na
Mujhay Azaad Kar Do Na.

No comments:

Post a Comment