affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Usay Batana Gham-e-Zamana Faraib Dega KhiyaL Rakhna

Sunday 5 May 2013

Usay Batana Gham-e-Zamana Faraib Dega KhiyaL Rakhna

Usay Batana
Gham-e-Zamana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
.
Wafa K Raste se Lot Jana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
.
Sakoon Dain gi WisaaL Raatein
Chain Dain gay Udaas Lamhe
.
Mgr Ye Pal Bhr Ka Muskarana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
Tu Khwab Kis ka
Main Khwab Kis ka
Na Payar Mujh ko
Na Payar Tum ko
.
Ye ik Doujay K Paas Aana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
.
Jo Qeher Toota hai DiL Pe Mere
Wo Qeher Toote na Ab Kisi Pe
.
Ye DiL Jalana
Ye Ghar Lutana
Faraib Dega
Khiyal Rakhna...!

No comments:

Post a Comment