affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain

Wednesday 25 May 2016

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,

Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,


Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,

Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...


Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,

Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...

 

Haider Ali Aatish

No comments:

Post a Comment